By : Ahmed Faraz
Aankh Se Duur Na Ho Dil Se Utar Jaayega
waqt ka kya hai guzarata hai guzar jaayega
itna maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apani
tu kabhi Khud ko bhi deikheygaa to Dar jaayega
tum sar-e-raah-e-wafaa dekhate rah jaaoge
aur vo baam-e-rafaaqat se utar jaayega
zindagi terii ataa hai to ye jaanevaalay
teri baKhshiish teri dahaliz pe dhar jaayega
Doobate Doobate kashti to ochhaalaa dey doon
main nahin koi to saahil pe utar jaayega
zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat ka 'Faraz'
zaalim ab ke bhi na royega to mar jaayega
Click Here for More Urdu Classical Poetry (on Facebook)
No comments:
Post a Comment