Thursday, January 31, 2013

Sabz Madham Roshani Main Surkh Anchal ki Dhanak



Sabz madham roshani main surkh anchal ki dhanak
sard kamre main machalti garm sanson ki mahak

bazuon k sakht halqe main koi nazuk badan
silwaten malbus par anchal bhi kuch dhalka hua

garmi-e-rukhsar se dahki hui thandi hawa
narm zulfon se mulayam ungliyon ki cher char

surkh honton par shararat k kisi lamhen ka aks
reshami bahon main churi ki kabhi madham dhanak

sharmagin lahjon main dhire se kabhi chahat ki bat
do dilon ki dhrkanon main gunjti thi ek sada

kanpte honton pe thi Allah se sirf ek dua
kash ye lamhe thahar jayen thahar jaye

Click Here for More Urdu Classical Poetry (on Facebook)

No comments:

Post a Comment