By : Parveen Shakir
Khulegi is nazar pe chashm-e-tar ahista ahista
kiya jata hai pani main safar ahista ahista
koi zanjir phir wapas wahin par le k ati hai
kathin ho rah to chutata hai ghar ahista ahista
badal dena hai rasta ya kahin par baith jana hai
k thakta ja raha hai hamsafar ahista ahista
khalish k sath is dil se na meri jan nikal jaye
khinche tir-e-shanasai magar ahista ahista
hua hai sarkashi main phul ka apna ziyan, dekha
so jhukta ja raha hai ab ye sar ahista ahista
meri shola mizaji ko wo jangal kaise ras aye
hawa bhi sans leti ho jidhar ahista ahista
Click Here for More Urdu Classical Poetry (on Facebook)
No comments:
Post a Comment