Thursday, January 31, 2013

Apanii Rusavaaii Teri Naam Ka Charcha Dekhuu



apanii rusavaa_ii tere naam ka charchaa dekhuu.
ek zaraa sher kahuun aur main kyaa kyaa dekhuu.

niind aa jaaye to kyaa mahafile.n barpaa dekhuu.
aa.Nkh khul jaaye to tanhaa_ii kaa sahara dekhuu.

shaam bhii ho ga_ii dhundhalaa ga_ii aa.Nkhe.n bhii merii
bhuulanevaale main kab tak teraa rastaa dekhuu.

sab zide.n us kii mai.n puurii karuu.N har baat sunuu.N
ek bachche kii tarah se use ha.Nstaa dekhuu.N

mujh pe chhaa jaaye vo barasaat kii Khushbuu kii tarah
ang ang apanaa usii rut me.n mahakataa dekhuu.

tuu merii tarah se yaktaa hai magar mere habib
jii me.n aataa hai ko_ii aur bhii tujh saa dekhuu.

main ne jis lamhe ko puujaa hai use bas ek baar
Khvaab ban kar terii aankhon main utarataa dekhuu.

tuu meraa kuchh nahii.n lagataa hai magar jaan-e-hayaat
jaane kyo.n tere liye dil ko dhadakataa dekhuu.

Click Here for More Urdu Classical Poetry (on Facebook)

No comments:

Post a Comment