Saturday, February 2, 2013

Zaroorat Torr Deti Hai Gharoor_e_Beniazi Ko

By : Ahmed Faraz


Zaroorat torr deti hai gharoor_e_beniazi ko Faraz

na hoti koi majboori to har banda wafa karta

Click Here for More Urdu Classical Poetry (on Facebook)

Gham-e-Hayat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi

By : Ahmed Faraz


Gham_e_Hayat ka jhagra mita raha hai koi
chalay aao k duniya se ja raha hai koi

azal se keh do k ruk jaye do ghari
suna hai aanay ka wada nibha raha hai koi

wo is naaz se bethay hain lash k paas
jessay roothay hue ko mana raha koi

palat kar na aa jaye phir sans nabzon mein
itnay haseen hathon se mayyat saja raha hai koi

Click Here for More Urdu Classical Poetry (on Facebook)

Sunaa Hai Bole To Baaton Se Phul Jhharte Hain

By : Ahmed Faraz


Sunaa Hai Bole To Baaton Se Phul Jhharte Hain
Ye Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain

Sunaa Hai Raat Use Chaand Taktaa Rahtaa Hai
Sitaare Baam-E-Falak Se Utar Kar Dekhte Hain

Click Here for More Urdu Classical Poetry (on Facebook)

Is Dafa To Barishein Rukti Nahin

By : Ahmed Faraz


Is Dafa To Barishein Rukti Nahin Faraz

Hum Ne Ansu Kia Piye K Saray Mosam Ro Paray


Click Here for More Urdu Classical Poetry (on Facebook)

Meri Khushi Ki Mudat Itni Hai

By : Ahmed Faraz




Meri Khushi Ki Mudat Itni He Hai Faraz

Guzar Jati He Mere Muskurani Se Pahle


Click Here for More Urdu Classical Poetry (on Facebook)

Aashiqi Be-Dili Se Mushkil Hai




Aashiqi be-dili se mushkil hai 
phir muhabbat usii se mushkil hai 

ishq aaGaaz hee se mushkil hai 
sabr karanaa abhi se mushkil hai 

ham ?? aasaan hain aur hamaare liye 
dushmani dosti se mushkil hai 

jis ko sab be-vafaa samajhate hon 
bewafaai usii se mushkil hai 

ek do dosray se sahel na jaan 
har koi har kisi se mushkil hai 

tu baa-zid hai to jaa 'Faraz' magar 
vaapasi us gali se mushkil hai

Click Here for More Urdu Classical Poetry (on Facebook)

Aankh Se Duur Na Ho Dil Se Utar Jaayega



Aankh Se Duur Na Ho Dil Se Utar Jaayega 
waqt ka kya hai guzarata hai guzar jaayega 

itna maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apani 
tu kabhi Khud ko bhi deikheygaa to Dar jaayega 

tum sar-e-raah-e-wafaa dekhate rah jaaoge 
aur vo baam-e-rafaaqat se utar jaayega 


zindagi terii ataa hai to ye jaanevaalay 
teri baKhshiish teri dahaliz pe dhar jaayega 


Doobate Doobate kashti to ochhaalaa dey doon 
main nahin koi to saahil pe utar jaayega 

zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat ka 'Faraz
zaalim ab ke bhi na royega to mar jaayega

Click Here for More Urdu Classical Poetry (on Facebook)

Tujh Se Bichad Ke Hum Bhi Muqaddar Ke Ho Gaye



Tujh se bichad ke hum bhi muqaddar ke ho gaye
Phir jou bhi dar mila usi dar ke hou gaye

Aey yaad e yaar tujh se karein kya shikayatein
Aye dard e hijr hum bhi tu pathar ke hou gaye

Samjha rahey the mujhko sabhi naasehan e shehar
Phir rafta rafta khud usi kaafir ke hou gaye

Rotey hou ek jazeera e jaan ko Faraz Tum
Dekho tu kitney shehar samandar ke hou gaye

Click Here for More Urdu Classical Poetry (on Facebook)

Uski Ankh0n K0 Kabhi Gh0r Se Dekha Hy Faraz



Uski Ankh0n K0 Kabhi Gh0r Se Dekha Hy Faraz 
S0nay Wal0n Ki Tarhan, Jaagnay Wal0n Jaysi

Click Here for More Urdu Classical Poetry (on Facebook)

Hum To Razi Hai Wo Jis Haal Mein Jesaa Rakhe


Har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakhey,
Kisi ko sairaab kare woh kise pyasa rakhey

Umer bhar kaun nibata hai taluk itna
Ae meri jan ke dushman tujhe allah rakhe,

Humko acha nahin lagta koi humnam tera,
Koi tujhsa ho tu phir nam be tujhsa rakhey.

Dil b pagal hai us shaks se wabasta hai,
Jo kise aur ka na hone de na apna rakhey

Kam nahin tamam e ibadat bhi to hirs-e-zar se,
Fuqr to wo hai ke deen na duniya rakhey.

Hans na itna bhi faqeeron ke akelepan par,
Khuda meri tara tujh ko b tanha rakhe

Yeh qana at hai, ita-att hai ke chaht hai Faraz
Hum to razi hai wo jis haal mein jesaa rakhe


Click Here for More Urdu Classical Poetry (on Facebook)